संदेश

2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

Nayi ummid

Is lock down ne puri duniya ko sochne par majbur kar diya hai ki anewala kal kya unke jakhmo ko bhar payega, Akhir jine ke liye unhe kitni himmat jutani hogi, ghar se bahar niklne me kitna sochna pad rha hai. Akhir kamkaj ki gadi kab patri par ayegi, insan itna majboor ho gaya hai ki samajh nhi pa rha hai ki jaan bachaye ya jindagi jine ke saman Bachaye. Par is muskil daur Me bhi hame himmat juta ke khada rhna hoga , ek dusre ki taklifo ko samajh ke chalna hoga, nhi to puri duniya karj daar ho jayegi. Logo ka kamkaj band ho na is baat ka sabut hai ki duniya ke har insan par karz hone wala hai. Is liye koi bhi is baat se ghabraye nhi ki karz badh rha hai , kyo ki is karz se chhota bada koi bhi insan nhi bachne wala hai . Dil me ek ummid jinda rkho aur jindagi se ladne ka prayas karte rho, waqt kabhi thaharata nhi gujrega jarur.